Thursday, January 10, 2013

business talks in hindi

 

Question Response
Good morning sir. I'm Nitin. We had a business appointment today.
Suprabhat Mahoday. main Nitin hoon. Aaj hamari ek vyapaarik vaarta hai.
सुप्रभात महोदय्। मै नितिन हू। आज हमारी एक व्यापारिक वार्ता है।
Good morning to you. I do remeber it.
Aapko bhi suprabhat. Mujhe yeh yaad hai.
आप को भी सुप्रभात्। मुझे यह् याद है।
Please have a seat. Would you prefer tea or coffee?
Kripaya baithiye. Aap chai lena pasand karenge ya koffee.
कृपया बैठिये। आप चाय लेना पसन्द् करे़गे या काफी?
Tea would be fine. What about you?
Chai theeek rahegaa. Aur aap ke liye?
चाय् ठीक रहेगा। और आप के लिये?
I'll also have tea. Well, what can I do for you?
Main bhi chai lungaa. Achchha main aapke liye kya kar sakta hoon?
मै भी चाय् लू़गा। अच्छा मै आप के लिये क्या कर सकता हू?
I've already sent you an application in this matter.
Is baare mein pahale hi ek aavedan aapke pass bhej chukaa hoon.
इस बारे मे एक आवेदन आप के पास भेज चुका हू।
I guess we have received it.
Mera anumaan hai ki hame vah prapt ho chukaa hai.
मेरा अनुमान है कि हमे वह प्राप्त हो चुका है।
We have come to know that you are about to start a business with our products.
Hume maloom hua hai ki aap hamare maal ke jariye ek vyapaar shuru karane wale hain.
हमे मालूम हुआ है कि आप हमारे माल के जरिये एक व्यापार शुरू करने वाले है।
Exactly. Now I would like you to explain me in detail about your terms and conditions.
Bilkul theek. Ab main chahungaa ki aap niyamon aur sharton kaa vistrit vivaran mujhe de.
बिल्कुल ठीक्। अब मै चाहुँगा कि आप नियमो और शर्तो का विस्त्रित विवरण् मुझे दे।
Very well. I'll explain to you our terms and conditions.(Explains)
Bahut Achchha. Main aapko hamare niyam aur shart vistaar se batata hoon. (batata hai)
बहुत अच्छा। मै आप को हमारे नियम और शर्त विस्तार से बताता हू। (बताता है)
Ok! Your terms and conditions are ageeable to me.
Theek hai. Aapke niyam aur shart mujhe maany hai.
ठीक है। आप के नियम और शर्त मुझे मान्य है।
I'll revert back to you in a week's time.
Ek saptah ke under hi main aapke pass dubara aungaa.
एक सप्ताह के अन्दर ही मै आप के पास दुबारा आउगाँ।
Fine. I'll be waiting for your positive response.
Theek. Main aapke sakaratmak uttar ki pratiksha karungaa.
ठीक मै आप के सकारात्मक् उत्तर की प्रतीक्षा करुगाँ।
See you again. Have a nice day.
Fir milte hain. Aapka din achchha rahe.
फिर मिलते है़। आप का दिन अच्छा रहे।

Word-Bag : Business Talks in Hindi

sir - mahoday
Good morning - Suprabhat
business appointment - vyapaarik vaarta
application - aavedan
guess - anumaan
come to know - maloom hua
terms and condition - niyam aur shart
explaination in details - vistrit vivaran, vistaar se batana
agreeable - maany
positive response - sakaratmak uttar
wait - pratiksha

No comments:

Post a Comment