Pages

Thursday, January 10, 2013

Talking About Pets In Hindi




Question Response
Do you like pets?
Kya aapko paalatu jeev pasand hai?
क्या आप को पालतू जीव पसन्द हैं?
Yes, I do like pets.
Haan, mai paalatu jeev pasand karata (f. karatee) hoon.
हाँ, मैं पालतू जीव पसन्द करता हूँ।
Do you have a pet?
Kya aapke paas koi paalatu jeev hai?
क्या आप के पास कोइ पालतू जीव है?
Yes, I have a parrot.
Haan, mere paas ek tota hai.
हाँ मेरे पास एक तोता है।
What name you have given to him/her?
Aap ne usko kya naam diya hai?
आप ने उसको क्या नाम दिया है?
I call him 'Copy-cat'.
Mai usko 'Copy-cat' kahataa (f.kahatee) hoon.
मैं उसको 'कापी-कैट्' कहता हूँ।
Why so?
Aisaa kyon?
ऐसा क्यों?
Because he copies other's talk.
kyon-ki vah doosare ki baat-cheet ki nakal karataa hai.
क्योंकि वह दूसरे की बात्-चीत की नकल करता है।
What do you feed him?
Aap usay khane ke liye kya dete ho?
आप उसे खाने के लिये क्या देते हो?
Some chopped fruits and bread.
Kuchh katay huye phal aur roti.
कुछ कटे हुये फल और रोटी।
Do you feel happy taking care of your pet?
Kya aap apne paalatu tota ki dekh-bhaal karke khush hotay ho?
क्या आप अपने पालतू तोता की देखभाल करके खुश होते हो?
Yes, I feel good.
Haan, mujhe achchhaa lagataa hai.
हाँ, मुझे अच्छा लगता है।

Word-Bag : Talking About Pets In Hindi Tutorial

pet, pets - paalatu jeev
to like - pasand karanaa
parrot - tota
talk - baatcheet
taking care - dekh bhaal karanaa
to feel good - achchhaa laganaa

No comments:

Post a Comment